KHuda-shanas buzurgon ki yaadgar hain hum
ḳhudā-shanās buzurgoñ kī yādgār haiñ ham
ḳhizāñ ne luuT liyā jis ko vo bahār haiñ ham
jo chāhtā hai zamāna sazā.eñ de ham ko
kiyā hai jurm-e-mohabbat qusūr-vār haiñ ham
ḳhilāf apne zamāna huā to kyā ġham hai
ḳhudā se fazl-o-karam ke umīd-vār haiñ ham
vo apnā va.ada nibāheñ ge hai gumāñ ham ko
fareb dete haiñ ḳhud ko fareb-kār haiñ ham
nasīm-e-sub.h-e-bahārāñ hamāre paas na aa
hameñ na chheḌ ki mahv-e-ḳhayāl-e-yār haiñ ham
jise na toḌ sakeñ gardisheñ zamāne kī
havās-o-hosh kā 'mashkūr' vo hisār haiñ ham
KHuda-shanas buzurgon ki yaadgar hain hum
KHizan ne luT liya jis ko wo bahaar hain hum
jo chahta hai zamana sazaen de hum ko
kiya hai jurm-e-mohabbat qusur-war hain hum
KHilaf apne zamana hua to kya gham hai
KHuda se fazl-o-karam ke umid-war hain hum
wo apna wada nibahen ge hai guman hum ko
fareb dete hain KHud ko fareb-kar hain hum
nasim-e-subh-e-bahaaran hamare pas na aa
hamein na chheD ki mahw-e-KHayal-e-yar hain hum
jise na toD saken gardishen zamane ki
hawas-o-hosh ka 'mashkur' wo hisar hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.