KHuda taufiq de mujhse kuchh aisa kaam ho jae
ḳhudā taufīq de mujh se kuchh aisā kaam ho jaa.e
ki tere nek bandoñ meñ mirā bhī naam ho jaa.e
jo terā ho gayā us kī lagegī kyā koī qīmat
nazar jis par paḌe terī vahī be-dām ho jaa.e
mire maulā mire haq meñ koī aisā karishma kar
sazā jo bhī mile mujh ko vahī in.aam ho jaa.e
ḳhudā ne tere hāthoñ meñ ajab tāsīr baḳhshī hai
agar tū zahr bhī chhū le to vo bhī jaam ho jaa.e
koī chakkar chalā aisā koī tadbīr aisī kar
naqāb uThne na paa.e aur jalva aam ho jaa.e
dabe vo raaz haiñ dil meñ zamāne ke ḳhudāoñ ke
agar lab khol duuñ apne to qatl-e-ām ho jaa.e
tire pahlū meñ mere rāt-din karvaT badalte haiñ
tire pahlū meñ hī merī sahar se shaam ho jaa.e
agar pardā haTā le tū jamāl-o-husn ke mālik
marīz-e-ishq ko tere zarā ārām ho jaa.e
mujhe to tere sajde meñ hī apnā sar jhukānā hai
balā se phir jo honā ho 'kiran' anjām ho jaa.e
KHuda taufiq de mujh se kuchh aisa kaam ho jae
ki tere nek bandon mein mera bhi nam ho jae
jo tera ho gaya us ki lagegi kya koi qimat
nazar jis par paDe teri wahi be-dam ho jae
mere maula mere haq mein koi aisa karishma kar
saza jo bhi mile mujh ko wahi inam ho jae
KHuda ne tere hathon mein ajab tasir baKHshi hai
agar tu zahr bhi chhu le to wo bhi jam ho jae
koi chakkar chala aisa koi tadbir aisi kar
naqab uThne na pae aur jalwa aam ho jae
dabe wo raaz hain dil mein zamane ke KHudaon ke
agar lab khol dun apne to qatl-e-am ho jae
tere pahlu mein mere raat-din karwaT badalte hain
tere pahlu mein hi meri sahar se sham ho jae
agar parda haTa le tu jamal-o-husn ke malik
mariz-e-ishq ko tere zara aaram ho jae
mujhe to tere sajde mein hi apna sar jhukana hai
bala se phir jo hona ho 'kiran' anjam ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.