Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda use bhi kisi din zawal deta hai

Ejaz Ansari

KHuda use bhi kisi din zawal deta hai

Ejaz Ansari

MORE BYEjaz Ansari

    ḳhudā use bhī kisī din zavāl detā hai

    zamāna jis ke hunar misāl detā hai

    vo jab shu'ūr ko lafzoñ meñ Dhaal detā hai

    'ajīb soch nirāle ḳhayāl detā hai

    koī samajh na sakā us den andāza

    kabhī ḳhushī kabhī ranj-o-malāl detā hai

    kabhī vo zaḳhm lagātā hai mere siine par

    kabhī vo paañv se kāñTā nikāl detā hai

    usī ne hai gunāh-o-savāb tafrīq

    vahī shu.ūr-e-harām-o-halāl detā hai

    mire ḳhudā use sanjīdgī 'atā kar de

    vo merī baat ko hañs hañs ke Taal detā hai

    kabhī kināre bhī kashtī bachā nahīñ sakte

    kabhī bhañvar bhī safīne uchhāl detā hai

    vo kar guzartā hai aksar mirā junūñ 'ejāz'

    ki jo ḳhirad ko bhī hairat meñ Daal detā hai

    KHuda use bhi kisi din zawal deta hai

    zamana jis ke hunar ki misal deta hai

    wo jab shu'ur ko lafzon mein Dhaal deta hai

    'ajib soch nirale KHayal deta hai

    koi samajh na saka us ki den ka andaza

    kabhi KHushi kabhi ranj-o-malal deta hai

    kabhi wo zaKHm lagata hai mere sine par

    kabhi wo panw se kanTa nikal deta hai

    usi ne di hai gunah-o-sawab ki tafriq

    wahi shuur-e-haram-o-halal deta hai

    mere KHuda use sanjidgi 'ata kar de

    wo meri baat ko hans hans ke Tal deta hai

    kabhi kinare bhi kashti bacha nahin sakte

    kabhi bhanwar bhi safine uchhaal deta hai

    wo kar guzarta hai aksar mera junun 'ejaz'

    ki jo KHirad ko bhi hairat mein Dal deta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now