KHudara naKHuda koi na aae
ḳhudārā nāḳhudā koī na aa.e
agar kashtī bhañvar kī samt jaa.e
zamāne se bahut jab tang aa.e
ḳhudā se rābte apne baḌhā.e
guzishta saal se pahle kabhī bhī
mujhe ye rat-jage itne na bhaa.e
bahut din baa'd ye jaanā ki ham par
sitam kuchh aap ne bhī kam na Dhaa.e
mujhe taklīf de kar yā-ilāhī
kisī kī aañkh meñ aañsū na aa.e
mirī āñkhoñ ne dekhe ḳhvāb kaise
mujhe qismat ne kaise din dikhā.e
mujhe uḌne kā mauqa tab milā thā
mire sayyād ne jab par jalā.e
KHudara naKHuda koi na aae
agar kashti bhanwar ki samt jae
zamane se bahut jab tang aae
KHuda se rabte apne baDhae
guzishta sal se pahle kabhi bhi
mujhe ye rat-jage itne na bhae
bahut din ba'd ye jaana ki hum par
sitam kuchh aap ne bhi kam na Dhae
mujhe taklif de kar ya-ilahi
kisi ki aankh mein aansu na aae
meri aankhon ne dekhe KHwab kaise
mujhe qismat ne kaise din dikhae
mujhe uDne ka mauqa tab mila tha
mere sayyaad ne jab par jalae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.