KHudara rahzanon dil ke mere arman mat chhino
ḳhudārā rahzanoñ dil ke mire armān mat chhīno
banā doge ise tum ḳhāna-e-vīrān mat chhīno
ujāḌo mat mirā gulshan mujhe nāshād rahne do
mire aañsū mirī rāhat ke ye sāmān mat chhīno
tabassum chhīn lo hoñToñ kā ḳhushiyāñ ziist kī lekin
mire afsāna-hā-e-shauq ke unvān mat chhīno
ḳhamoshī dāstān-e-ġham mirī kah jā.egī ik din
mire kuchh giit rahne do mirī har taan mat chhīno
tapish se zindagī ke reg-zāroñ kī na mar jā.ūñ
sajā rakhe haiñ kuchh ḳhush-rañg ḳhvābistān mat chhīno
na.ī duniyā na.e insāñ na.ī bāteñ mubārak hoñ
mirī giitā ko rahne do mirā qur.ān mat chhīno
KHudara rahzanon dil ke mere arman mat chhino
bana doge ise tum KHana-e-viran mat chhino
ujaDo mat mera gulshan mujhe nashad rahne do
mere aansu meri rahat ke ye saman mat chhino
tabassum chhin lo honTon ka KHushiyan zist ki lekin
mere afsana-ha-e-shauq ke unwan mat chhino
KHamoshi dastan-e-gham meri kah jaegi ek din
mere kuchh git rahne do meri har tan mat chhino
tapish se zindagi ke reg-zaron ki na mar jaun
saja rakhe hain kuchh KHush-rang KHwabistan mat chhino
nai duniya nae insan nai baaten mubarak hon
meri gita ko rahne do mera quran mat chhino
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.