KHudaya aap faqat bandagi ke qabil hain
ḳhudāyā aap faqat bandagī ke qābil haiñ
ye saare log to bas 'ājizī ke qābil haiñ
vo log jis ne kisī kā burā nahīñ sochā
vo kis tarah se bhalā dushmanī ke qābil haiñ
zabāñ-darāz haiñ man-māniyāñ jo kartī haiñ
so aisī laḌkiyāñ kab ruḳhsatī ke qābil haiñ
vo jis ne 'ishq-o-mohabbat kā farq samjhā nahīñ
to aise log faqat dil-lagī ke qābil haiñ
jo apne chehroñ pe dohrā naqāb rakhte haiñ
to aise doġhle phir be-ruḳhī ke qābil haiñ
jo tīrgī meñ hī ḳhush rah rahe haiñ barsoñ se
phir aise log kahāñ raushnī ke qābil haiñ
ye log qadr nahīñ jānte haiñ bārish kī
ye tishna-lab hī sahī tishnagī ke qābil haiñ
vo ġham jo tum se mile vo likhe haiñ 'sārim' ne
ham ahl-e-dard kahāñ shā'irī ke qābil haiñ
KHudaya aap faqat bandagi ke qabil hain
ye sare log to bas 'ajizi ke qabil hain
wo log jis ne kisi ka bura nahin socha
wo kis tarah se bhala dushmani ke qabil hain
zaban-daraaz hain man-maniyan jo karti hain
so aisi laDkiyan kab ruKHsati ke qabil hain
wo jis ne 'ishq-o-mohabbat ka farq samjha nahin
to aise log faqat dil-lagi ke qabil hain
jo apne chehron pe dohra naqab rakhte hain
to aise doghle phir be-ruKHi ke qabil hain
jo tirgi mein hi KHush rah rahe hain barson se
phir aise log kahan raushni ke qabil hain
ye log qadr nahin jaante hain barish ki
ye tishna-lab hi sahi tishnagi ke qabil hain
wo gham jo tum se mile wo likhe hain 'sarim' ne
hum ahl-e-dard kahan sha'iri ke qabil hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.