KHudaya zara un pe ehsan kar de
ḳhudāyā zarā un pe ehsān kar de
jo haiñ aadmī un ko insān kar de
raheñ yaad ke vo gharauñde salāmat
magar dil ke āñgan ko vīrān kar de
kabhī apne hī rū-ba-rū jab khaḌā ho
to ā.īna us ko bhī hairān kar de
zamīñ-tā-falak ho mirā naam raushan
kuchh aisā hī jiine kā sāmān kar de
bahut naaz hai jin ko apnī anā par
kabhī mere ghar un ko mehmān kar de
karūñ naam kā apne sikka maiñ raa.ij
mujhe ek din kā jo sultān kar de
agar sulh 'mansūr' karte nahīñ vo
to baḌh ke laḌā.ī kā elaan kar de
KHudaya zara un pe ehsan kar de
jo hain aadmi un ko insan kar de
rahen yaad ke wo gharaunde salamat
magar dil ke aangan ko viran kar de
kabhi apne hi ru-ba-ru jab khaDa ho
to aaina us ko bhi hairan kar de
zamin-ta-falak ho mera nam raushan
kuchh aisa hi jine ka saman kar de
bahut naz hai jin ko apni ana par
kabhi mere ghar un ko mehman kar de
karun nam ka apne sikka main raij
mujhe ek din ka jo sultan kar de
agar sulh 'mansur' karte nahin wo
to baDh ke laDai ka elan kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.