KHuddari-e-hayat ko ruswa nahin kiya
ḳhuddārī-e-hayāt ko rusvā nahīñ kiyā
ham ne kabhī zamīr kā saudā nahīñ kiyā
jaañ se aziiz thā hameñ dastār kā vaqār
zālim ko sar to de diyā sajda nahīñ kiyā
phir lab pe tere kalma-e-afsos kis liye
maiñ ne to tere jabr kā shikva nahīñ kiyā
mañDlā rahā hai aaj jo sāhil ke ird-gard
tūfān ko to tum ne ishāra nahīñ kiyā
us ke ruḳh-e-jamīl ke aa.e jo rū-ba-rū
mahtāb aisā charḳh ne paidā nahīñ kiyā
garche mire qalam ke ḳharīdār kam na the
mere zamīr hī ne gavārā nahīñ kiyā
KHuddari-e-hayat ko ruswa nahin kiya
hum ne kabhi zamir ka sauda nahin kiya
jaan se aziz tha hamein dastar ka waqar
zalim ko sar to de diya sajda nahin kiya
phir lab pe tere kalma-e-afsos kis liye
main ne to tere jabr ka shikwa nahin kiya
manDla raha hai aaj jo sahil ke ird-gard
tufan ko to tum ne ishaara nahin kiya
us ke ruKH-e-jamil ke aae jo ru-ba-ru
mahtab aisa charKH ne paida nahin kiya
garche mere qalam ke KHaridar kam na the
mere zamir hi ne gawara nahin kiya
- Book : Seepiyon Mein Samandar (Poetry) (Pg. 56)
- Author : Ram avtar gupta ''muztar''
- Publication : Takhleeqkar Publishers (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.