KHudi ke bagh ke phulon ki tazgi hun main
ḳhudī ke baaġh ke phūloñ kī tāzgī huuñ maiñ
bahār-e-husn-e-tamaddun kī dilkashī huuñ maiñ
zamīr-e-zarf huuñ tahzīb-e-ājizī huuñ maiñ
mizāj-e-sabr-o-tahammul kī sādgī huuñ maiñ
na chāñd huuñ na sitāra na chāñdnī huuñ maiñ
charāġh-e-azmat-e-ġhairat kī raushnī huuñ maiñ
sulagtī dhuup kī ḳhātir huuñ chhāñv rāhat kī
adab kī ḳhushk zamīñ ke liye namī huuñ maiñ
ḳhulūs vaale ko pahchāntā nahīñ koī
na.ī sadī kī nigāhoñ meñ ajnabī huuñ maiñ
kisī amiir kā ehsāñ liyā na maiñ ne kabhī
ḳhudī ko naaz hai jis par vo aadmī huuñ maiñ
amīr-e-shahr se merā koī lagāv nahīñ
ġharīb-e-shahr se nisbat hai muflisī huuñ maiñ
vafā ke gahre samundar se merā rishta hai
'qamar' ḳhulūs kī bahtī huī nadī huuñ maiñ
KHudi ke bagh ke phulon ki tazgi hun main
bahaar-e-husn-e-tamaddun ki dilkashi hun main
zamir-e-zarf hun tahzib-e-ajizi hun main
mizaj-e-sabr-o-tahammul ki sadgi hun main
na chand hun na sitara na chandni hun main
charagh-e-azmat-e-ghairat ki raushni hun main
sulagti dhup ki KHatir hun chhanw rahat ki
adab ki KHushk zamin ke liye nami hun main
KHulus wale ko pahchanta nahin koi
nai sadi ki nigahon mein ajnabi hun main
kisi amir ka ehsan liya na main ne kabhi
KHudi ko naz hai jis par wo aadmi hun main
amir-e-shahr se mera koi lagaw nahin
gharib-e-shahr se nisbat hai muflisi hun main
wafa ke gahre samundar se mera rishta hai
'qamar' KHulus ki bahti hui nadi hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.