KHudi ke nam pe ek jashn be-KHudi kar lo
ḳhudī ke naam pe ik jashn be-ḳhudī kar lo
añdherī raat meñ kuchh aur raushnī kar lo
ye dushmanī to mire ehtirām meñ gum hai
mire raqīb koī mujh se dostī kar lo
kahāñ talak ye bahāroñ kī sarmadī daulat
bahut tamām huī ab to zindagī kar lo
ye shor baḌhtā rahā gar to be-qusūr huuñ maiñ
tujhe ḳhabar to mile koī ḳhāmushī kar lo
maiñ apne saare hī aiboñ se aap vāqif huuñ
mire ḳhayāl pe tum koī bhī hañsī kar lo
maiñ hote hote kahāñ daar tak chalī aa.ī
kisī ne mujh se kahā thā ki āshiqī kar lo
KHudi ke nam pe ek jashn be-KHudi kar lo
andheri raat mein kuchh aur raushni kar lo
ye dushmani to mere ehtiram mein gum hai
mere raqib koi mujh se dosti kar lo
kahan talak ye bahaaron ki sarmadi daulat
bahut tamam hui ab to zindagi kar lo
ye shor baDhta raha gar to be-qusur hun main
tujhe KHabar to mile koi KHamushi kar lo
main apne sare hi aibon se aap waqif hun
mere KHayal pe tum koi bhi hansi kar lo
main hote hote kahan dar tak chali aai
kisi ne mujh se kaha tha ki aashiqi kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.