KHudi ko aa gai hansi umid ke sawal par
ḳhudī ko aa ga.ī hañsī umiid ke savāl par
añdhere tilmilā uThe charāġh kī majāl par
ye chāhatoñ kā dard hai ye qurbatoñ kā hashr hai
jo dhuup chhup ke roī āftāb ke zavāl par
ye jaan kar ki chāñd mere ghar meñ jagmagā.egā
sitāre aaj shaam se hī aa ga.e kamāl par
nazar meñ zindagī kī phuul mo'atabar na ho sake
ḳhizāñ ko e'tirāz thā bahār se visāl par
ḳhabar ye der se uḌī ki maut se mafar nahīñ
parind jab utar chuke shikāriyoñ ke jaal par
zamāna jis kī zindagī meñ qadr kuchh na kar sakā
ab āsmān ro rahā hai us ke intiqāl par
kahāñ vo 'mīnā' chāhatoñ kī shiddatoñ kā silsila
kahāñ ye be-niyāziyāñ hamāre arz-e-hāl par
KHudi ko aa gai hansi umid ke sawal par
andhere tilmila uThe charagh ki majal par
ye chahaton ka dard hai ye qurbaton ka hashr hai
jo dhup chhup ke roi aaftab ke zawal par
ye jaan kar ki chand mere ghar mein jagmagaega
sitare aaj sham se hi aa gae kamal par
nazar mein zindagi ki phul mo'atabar na ho sake
KHizan ko e'tiraaz tha bahaar se visal par
KHabar ye der se uDi ki maut se mafar nahin
parind jab utar chuke shikariyon ke jal par
zamana jis ki zindagi mein qadr kuchh na kar saka
ab aasman ro raha hai us ke intiqal par
kahan wo 'mina' chahaton ki shiddaton ka silsila
kahan ye be-niyaziyan hamare arz-e-haal par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.