KHudi kya aur KHudi ka muddaa kya
ḳhudī kyā aur ḳhudī kā mudda.ā kyā
jo banda hai banegā vo ḳhudā kyā
kisī ḳhud-bīñ se hotā āshnā kyā
tujhe dekhā thā duniyā dekhtā kyā
qayāmat-ḳhez jis kī ibtidā ho
phir us kī intihā kā pūchhnā kyā
tire jalvoñ ne fursat hī nahīñ dī
maiñ nairañg-e-zamāna dekhtā kyā
tajallī raaz hai sahrā-e-hastī
harīm-e-husn kā parda uThā kyā
nazar meñ rakh tū apnī hadd-e-imkāñ
duā ko dekh tāsīr-e-duā kyā
karam-gustar faqīr-e-be-navā huuñ
faqīr-e-be-navā kā mudda.ā kyā
takalluf bartaraf maiñ saaf kah duuñ
vafā kyā aur paimān-e-vafā kyā
haqīqat khul ga.ī ai 'rāz' āḳhir
bharam thā 'qādrī' sāhab ko kyā kyā
KHudi kya aur KHudi ka muddaa kya
jo banda hai banega wo KHuda kya
kisi KHud-bin se hota aashna kya
tujhe dekha tha duniya dekhta kya
qayamat-KHez jis ki ibtida ho
phir us ki intiha ka puchhna kya
tere jalwon ne fursat hi nahin di
main nairang-e-zamana dekhta kya
tajalli raaz hai sahra-e-hasti
harim-e-husn ka parda uTha kya
nazar mein rakh tu apni hadd-e-imkan
dua ko dekh tasir-e-dua kya
karam-gustar faqir-e-be-nawa hun
faqir-e-be-nawa ka muddaa kya
takalluf bartaraf main saf kah dun
wafa kya aur paiman-e-wafa kya
haqiqat khul gai ai 'raaz' aaKHir
bharam tha 'qadri' sahab ko kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.