KHudi mein Dub ke KHud se kabhi mile ho kya
ḳhudī meñ Duub ke ḳhud se kabhī mile ho kyā
hujūm-e-yārāñ meñ tanhā kabhī hue ho kyā
na jaane kis liye duniyā kā ronā rote ho
mizāj us ke nahīñ jānte na.e ho kyā
ḳhatra bhaTakne kā rahtā hai jis ravish pe bahut
tum us ravish pe kabhī duur tak ga.e ho kyā
vo jis pe mujh ko shikāyāt nahīñ rahī tum se
us ek baat pe mujh se ḳhafā hue ho kyā
yahī salīqa hai yāroñ kisī pe marne kā
kabhī kisī ke liye zindagī jiye ho kyā
junūn-e-ishq kī parvāz meñ ye kis kā ḳhauf
bulandiyoñ ke taqāzoñ se Dar ga.e ho kyā
KHudi mein Dub ke KHud se kabhi mile ho kya
hujum-e-yaran mein tanha kabhi hue ho kya
na jaane kis liye duniya ka rona rote ho
mizaj us ke nahin jaante nae ho kya
KHatra bhaTakne ka rahta hai jis rawish pe bahut
tum us rawish pe kabhi dur tak gae ho kya
wo jis pe mujh ko shikayat nahin rahi tum se
us ek baat pe mujh se KHafa hue ho kya
yahi saliqa hai yaron kisi pe marne ka
kabhi kisi ke liye zindagi jiye ho kya
junun-e-ishq ki parwaz mein ye kis ka KHauf
bulandiyon ke taqazon se Dar gae ho kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.