khul gaya bhed khusrawi ke baad
khul gayā bhed khusravī ke baad
jholī bhartī hai ājizī ke baad
āḳhirī ishq jo kiyā maiñ ne
ishq pahlā thā āḳhirī ke baad
shaam vo sar-phirī milī mujh ko
aaj ik aur sar-phirī ke baad
pyaar ke baad pyaar kar lenā
ḳhud-kushī hai ye ḳhud-kushī ke baad
haiñ ye sāvan kī bārisheñ kaisī
habs hotā hai tāzgī ke baad
apne lafzoñ ko chhoḌ aaya huuñ
saañs letā huuñ zindagī ke baad
tujh ko 'ārib' ḳhudā se māñgā hai
bandagī kī hai bandagī ke ba.ad
khul gaya bhed khusrawi ke baad
jholi bharti hai aajizi ke baad
aaKHiri ishq jo kiya main ne
ishq pahla tha aaKHiri ke baad
sham wo sar-phiri mili mujh ko
aaj ek aur sar-phiri ke baad
pyar ke baad pyar kar lena
KHud-kushi hai ye KHud-kushi ke baad
hain ye sawan ki barishen kaisi
habs hota hai tazgi ke baad
apne lafzon ko chhoD aaya hun
sans leta hun zindagi ke baad
tujh ko 'arib' KHuda se manga hai
bandagi ki hai bandagi ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.