khul gaya dida-e-tar se gham-e-pinhan mera
khul gayā dīda-e-tar se ġham-e-pinhāñ merā
ab to rangīñ nazar aatā hai garebāñ merā
zarra zarra mirī nazroñ meñ hai ā.īna-e-husn
kyā dikhātā hai mujhe dīda-e-hairāñ merā
baḌh chalī vahshat-e-dil rahm kar ai josh-e-bahār
ki mire haath se jaatā hai garebāñ merā
tālib-e-dād-e-jafā aur vafā ho kis se
husn mahjūb tirā ishq pashemāñ merā
ḳhatm hai tā-ba-sahar zindagī-e-sham-e-hayāt
ab na muñh dekhegī tū ai shab-e-hijrāñ merā
goshe goshe meñ hai ik hashr-e-salāsil barpā
aaj fariyād se māmūr hai zindāñ merā
maiñ vo ḳhūñ-karda-e-āzār-e-tapish huuñ 'sāqib'
de sakī saath na tūl-e-shab-e-hijrāñ merā
khul gaya dida-e-tar se gham-e-pinhan mera
ab to rangin nazar aata hai gareban mera
zarra zarra meri nazron mein hai aaina-e-husn
kya dikhata hai mujhe dida-e-hairan mera
baDh chali wahshat-e-dil rahm kar ai josh-e-bahaar
ki mere hath se jata hai gareban mera
talib-e-dad-e-jafa aur wafa ho kis se
husn mahjub tera ishq pasheman mera
KHatm hai ta-ba-sahar zindagi-e-sham-e-hayat
ab na munh dekhegi tu ai shab-e-hijran mera
goshe goshe mein hai ek hashr-e-salasil barpa
aaj fariyaad se mamur hai zindan mera
main wo KHun-karda-e-azar-e-tapish hun 'saqib'
de saki sath na tul-e-shab-e-hijran mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.