khul gaya KHalwat-e-tanhai ka qissa ai hai
khul gayā ḳhalvat-e-tanhā.ī kā qissa ai hai
chal gayā shahr meñ afvāh kā sikka ai hai
qumrī-o-tūtī-o-bulbul haiñ jise dekh ke mast
us gul-andām ko tum ne nahīñ dekhā ai hai
kyā kaheñ kaisā lagā chāñd hameñ us ke baġhair
Duub kar jab ġham-e-hijrāñ meñ vo niklā ai hai
us ke fiqre se maiñ kyā samjhūñ koī samjhā de
daf.atan merī taraf dekh ke bolā ai hai
al-ġharaz qissa-e-do-lafz ye sun le ai dost
kūcha-e-yār ba-sad rañj na chhūTā ai hai
khul gaya KHalwat-e-tanhai ka qissa ai hai
chal gaya shahr mein afwah ka sikka ai hai
qumri-o-tuti-o-bulbul hain jise dekh ke mast
us gul-andam ko tum ne nahin dekha ai hai
kya kahen kaisa laga chand hamein us ke baghair
Dub kar jab gham-e-hijran mein wo nikla ai hai
us ke fiqre se main kya samjhun koi samjha de
dafatan meri taraf dekh ke bola ai hai
al-gharaz qissa-e-do-lafz ye sun le ai dost
kucha-e-yar ba-sad ranj na chhuTa ai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.