khul gaya na ho kisi aur taraf bab mera
khul gayā na ho kisī aur taraf baab mirā
kahīñ āvāra-e-ġhurbat hī na ho ḳhvāb mirā
ḳhitta-e-ḳhāk meñ kuchh ḳhaak pe tohmat merī
sar-e-aflāk koī ḳhema-e-māhtāb mirā
dil-e-āvāra kahīñ chashm kahīñ ḳhvāb kahīñ
kaisā bikhrā dar-e-āfāq pe asbāb mirā
ḳhvāhish-e-jāñ bhī laraz jaatī hai har ashk ke saath
merī miTTī ko bhī le jaa.e na sailāb mirā
dil kahāñ aur kahāñ shorish-e-paiham dil kī
kis tamannā meñ ravāñ hai tan-e-betāb mirā
khul gaya na ho kisi aur taraf bab mera
kahin aawara-e-ghurbat hi na ho KHwab mera
KHitta-e-KHak mein kuchh KHak pe tohmat meri
sar-e-aflak koi KHema-e-mahtab mera
dil-e-awara kahin chashm kahin KHwab kahin
kaisa bikhra dar-e-afaq pe asbab mera
KHwahish-e-jaan bhi laraz jati hai har ashk ke sath
meri miTTi ko bhi le jae na sailab mera
dil kahan aur kahan shorish-e-paiham dil ki
kis tamanna mein rawan hai tan-e-betab mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.