khul gaya unki masihai ka aalam shab-e-wasl
khul gayā un kī masīhā.ī kā aalam shab-e-vasl
merā dam band hai dete haiñ mujhe dam shab-e-vasl
jeb ke purze uḌe phaT ga.ī mahram shab-e-vasl
mere un ke rahā kuchh aur hī aalam shab-e-vasl
jī meñ hai kahiye mo.azzin se ye hamdam shab-e-vasl
yuuñ na chīḳhā karo ai qibla-e-ālam shab-e-vasl
vo na so.e hoñ judā yā na laḌe hoñ ham se
is tarah kī huī sohbat to bahut kam shab-e-vasl
sub.h hote hī mujhe ashkoñ se muñh dhonā hai
mujh se āñkheñ na churā dīda-e-pur-nam shab-e-vasl
khul gaya un ki masihai ka aalam shab-e-wasl
mera dam band hai dete hain mujhe dam shab-e-wasl
jeb ke purze uDe phaT gai mahram shab-e-wasl
mere un ke raha kuchh aur hi aalam shab-e-wasl
ji mein hai kahiye moazzin se ye hamdam shab-e-wasl
yun na chiKHa karo ai qibla-e-alam shab-e-wasl
wo na soe hon juda ya na laDe hon hum se
is tarah ki hui sohbat to bahut kam shab-e-wasl
subh hote hi mujhe ashkon se munh dhona hai
mujh se aankhen na chura dida-e-pur-nam shab-e-wasl
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.