khul gaya uqda-e-hasti to kafan mang liya
khul gayā uqda-e-hastī to kafan maañg liyā
ziist ne maut se jiine kā chalan maañg liyā
phuuT kar sīna-e-kohsār se bahne ke liye
chashma-e-āb ne dāmān-e-daman maañg liyā
kyā ta.ajjub hai agar maañg lī chehre se naqāb
daur-e-hāzir ne to pairāhan-e-tan maañg liyā
ban gayā halqa-e-zulmat jo paḌā aks-e-zamīñ
chāñd ne ḳhud to nahīñ baḌh ke gahan maañg liyā
jis kī āġhosh meñ maazī kī amānat thī nihāñ
us ne māñgā to vahī qasr-e-kuhan maañg liyā
jalne vāloñ ne bhī shahnāz-e-ġhazal se 'kausar'
husn-e-fan maañg liyā rañg-e-suḳhan maañg liyā
khul gaya uqda-e-hasti to kafan mang liya
zist ne maut se jine ka chalan mang liya
phuT kar sina-e-kohsar se bahne ke liye
chashma-e-ab ne daman-e-daman mang liya
kya tajjub hai agar mang li chehre se naqab
daur-e-hazir ne to pairahan-e-tan mang liya
ban gaya halqa-e-zulmat jo paDa aks-e-zamin
chand ne KHud to nahin baDh ke gahan mang liya
jis ki aaghosh mein mazi ki amanat thi nihan
us ne manga to wahi qasr-e-kuhan mang liya
jalne walon ne bhi shahnaz-e-ghazal se 'kausar'
husn-e-fan mang liya rang-e-suKHan mang liya
- Book : Junoon Ki Aagahi (Pg. 64)
- Author : Kausar Siwani
- Publication : Arshia Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.