khul jaega haal-e-dil-e-afgar hamara
khul jā.egā hāl-e-dil-e-afgār hamārā
paḌhte haiñ vo guldasta-e-ash.ār hamārā
sach kah usī ḳhat kī tujhe saugand hai qāsid
kyā naama paḌhā us ne ka.ī baar hamārā
vo aah meñ garmī hai fuġhāñ maiñ na vo hiddat
ai yaas ye kyoñ sard hai bāzār hamārā
kis kis se kaheñge dil-e-maġhmūm ke hālāt
lo aaj huā 'rañj' bhī ġham-ḳhvār hamārā
khul jaega haal-e-dil-e-afgar hamara
paDhte hain wo guldasta-e-ashaar hamara
sach kah usi KHat ki tujhe saugand hai qasid
kya nama paDha us ne kai bar hamara
wo aah mein garmi hai fughan main na wo hiddat
ai yas ye kyon sard hai bazar hamara
kis kis se kahenge dil-e-maghmum ke haalat
lo aaj hua 'ranj' bhi gham-KHwar hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.