khula dimagh to phir dil ko saf karna paDa
khulā dimāġh to phir dil ko saaf karnā paḌā
mirī vafā kā use e'tirāf karnā paḌā
vo apne chehre pe rakhtā thā dūsrā chehra
fareb khā ke mujhe inkishāf karnā paḌā
thiiñ aisī kaun sī majbūriyāñ tumhāre liye
ki ahl-e-dil se tumheñ iḳhtilāf karnā paḌā
chahār samt gunāhoñ ke haath phaile the
isī liye to mujhe etakāf karnā paḌā
diyā jab apnī adāoñ kā vāsta us ne
to bevafā ko mujhe ḳhud muaaf karnā paḌā
ḳhudā hī jaane ki dekhā to kyā huā ehsās
ki rū-e-gul kā nazar se tavāf karnā paḌā
rahā na zabt kā yaarā to ek din āḳhir
'alīm' apne hī dil meñ shigāf karnā paḌā
khula dimagh to phir dil ko saf karna paDa
meri wafa ka use e'tiraf karna paDa
wo apne chehre pe rakhta tha dusra chehra
fareb kha ke mujhe inkishaf karna paDa
thin aisi kaun si majburiyan tumhaare liye
ki ahl-e-dil se tumhein iKHtilaf karna paDa
chahaar samt gunahon ke hath phaile the
isi liye to mujhe etakaf karna paDa
diya jab apni adaon ka wasta us ne
to bewafa ko mujhe KHud muaf karna paDa
KHuda hi jaane ki dekha to kya hua ehsas
ki ru-e-gul ka nazar se tawaf karna paDa
raha na zabt ka yara to ek din aaKHir
'alim' apne hi dil mein shigaf karna paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.