khula ye un ke andaz-e-bayan se
khulā ye un ke andāz-e-bayāñ se
muravvat uTh ga.ī saare jahāñ se
mujhe vo ranj deñ yā rahm khā.eñ
karūñ un kī shikāyat kis zabāñ se
rah-e-mahbūb meñ allāh re shauq
qadam rakhtā huuñ aage kārvāñ se
jahāñ meñ hai vahī taqdīr vaalā
salāmat jo rahā terī zabāñ se
kisī kā pās-e-rusvā.ī kahāñ tak
galā ghuTne lagā zabt-e-fuġhāñ se
adam kā haal āḳhir kis se pūchheñ
koī uThtā bhī ho ḳhvāb-e-girāñ se
'rashīd' ab tark-e-millat kījiye aap
nahīñ kuchh fā.eda ahl-e-jahāñ se
khula ye un ke andaz-e-bayan se
murawwat uTh gai sare jahan se
mujhe wo ranj den ya rahm khaen
karun un ki shikayat kis zaban se
rah-e-mahbub mein allah re shauq
qadam rakhta hun aage karwan se
jahan mein hai wahi taqdir wala
salamat jo raha teri zaban se
kisi ka pas-e-ruswai kahan tak
gala ghuTne laga zabt-e-fughan se
adam ka haal aaKHir kis se puchhen
koi uThta bhi ho KHwab-e-giran se
'rashid' ab tark-e-millat kijiye aap
nahin kuchh faeda ahl-e-jahan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.