khule hain hath lekin panw mein beDi bandhi si hai
khule haiñ haath lekin paañv meñ beḌī bañdhī sī hai
jise tum zindagī kahte ho mujh ko ḳhud-kushī sī hai
vahī kājal vahī āñkheñ vahī bāteñ vahī chehra
magar dil ko ye lagtā hai ki tujh meñ kuchh kamī sī hai
chaḌhe ab raat mujh meñ roz koī chīḳh uThtā hai
magar lab dekhtā huuñ to laboñ par ḳhāmushī sī hai
bhram chhoḌo mere yaaro maiñ andar se bahut ḳhush huuñ
ye āñkheñ laal haiñ merī palak hī shabnamī sī hai
kināre kaT chuke ik buuñd paanī ko tarastī hai
nadī ko dekh kar lagtā hai merī zindagī sī hai
qasam khātī hai merī aur aksar toḌ detī hai
mujhe nādāñ samajhtī hai vo laḌkī bāvrī sī hai
khule hain hath lekin panw mein beDi bandhi si hai
jise tum zindagi kahte ho mujh ko KHud-kushi si hai
wahi kajal wahi aankhen wahi baaten wahi chehra
magar dil ko ye lagta hai ki tujh mein kuchh kami si hai
chaDhe ab raat mujh mein roz koi chiKH uThta hai
magar lab dekhta hun to labon par KHamushi si hai
bhram chhoDo mere yaro main andar se bahut KHush hun
ye aankhen lal hain meri palak hi shabnami si hai
kinare kaT chuke ek bund pani ko tarasti hai
nadi ko dekh kar lagta hai meri zindagi si hai
qasam khati hai meri aur aksar toD deti hai
mujhe nadan samajhti hai wo laDki bawri si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.