khule jab kabhi daftar-e-raftagan
khule jab kabhī daftar-e-raftagāñ
hoñ āñkheñ mirī aur sail-e-ravāñ
nazākat latāfat ġham-e-jāvedāñ
ki hai ḳhuub raḳht-e-dil-e-shā’irāñ
tirā hī tasavvur ġhazal-dar-ġhazal
tirā hī bayāñ dāstāñ dāstāñ
mirī justujū tā-ufuq tā-ufuq
safar-dar-safar kārvāñ kārvāñ
ġham-e-zindagī mustaqil mustaqil
mirā zauq-e-fan rā.egāñ rā.egāñ
khule jab kabhi daftar-e-raftagan
hon aankhen meri aur sail-e-rawan
nazakat latafat gham-e-jawedan
ki hai KHub raKHt-e-dil-e-sha’iran
tera hi tasawwur ghazal-dar-ghazal
tera hi bayan dastan dastan
meri justuju ta-ufuq ta-ufuq
safar-dar-safar karwan karwan
gham-e-zindagi mustaqil mustaqil
mera zauq-e-fan raegan raegan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.