khule jo hum to baDhe hum mein fasle kitne
khule jo ham to baḌhe ham meñ fāsle kitne
ba-jā-e-shukr karam lab pe the gile kitne
kabhī salīb kabhī zahr aur kabhī ḳhanjar
sabāt-e-ishq mile haiñ tujhe mile kitne
koī gulū pe koī haath jeb-o-dastāñ par
rahe haiñ chāragaroñ se muqāble kitne
visāl-o-hijr to do lafz haiñ mohabbat meñ
ta.alluqāt meñ haiñ aur silsile kitne
huī hai ishq meñ tash.hīr chāk-dāmāñ kī
ye dekhiye to ki chāk-e-jigar sile kitne
khule jo hum to baDhe hum mein fasle kitne
ba-ja-e-shukr karam lab pe the gile kitne
kabhi salib kabhi zahr aur kabhi KHanjar
sabaat-e-ishq mile hain tujhe mile kitne
koi gulu pe koi hath jeb-o-dastan par
rahe hain chaaragaron se muqable kitne
visal-o-hijr to do lafz hain mohabbat mein
talluqat mein hain aur silsile kitne
hui hai ishq mein tashhir chaak-daman ki
ye dekhiye to ki chaak-e-jigar sile kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.