khule se chauk chaubare nahin hain
khule se chauk chaubāre nahīñ haiñ
nagar meñ ab vo nazzāre nahīñ haiñ
gumāñ toḌeñge jaldī āsmāñ kā
parinde hausla haare nahīñ haiñ
talab hai kāmyābī kī sabhī ko
hamīñ is dauḌ meñ nyāre nahīñ haiñ
banā baiThā hai jo ab shaah us ne
bhalā kis kis ke haq maare nahīñ haiñ
haiñ jitnī ḳhvāhisheñ man meñ bashar ke
gagan meñ utne to taare nahīñ haiñ
sabhī ko dekhiye mat ik nazar se
bure kuchh log haiñ saare nahīñ hai
unheñ bhātī hai āvāra-mizājī
kaheñ kaise vo banjāre nahīñ haiñ
khule se chauk chaubare nahin hain
nagar mein ab wo nazzare nahin hain
guman toDenge jaldi aasman ka
parinde hausla haare nahin hain
talab hai kaamyabi ki sabhi ko
hamin is dauD mein nyare nahin hain
bana baiTha hai jo ab shah us ne
bhala kis kis ke haq mare nahin hain
hain jitni KHwahishen man mein bashar ke
gagan mein utne to tare nahin hain
sabhi ko dekhiye mat ek nazar se
bure kuchh log hain sare nahin hai
unhen bhati hai aawara-mizaji
kahen kaise wo banjare nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.