khulegi nind KHwabon ka gharaunda TuT jaega
khulegi nind KHwabon ka gharaunda TuT jaega
Mashkoor Mamnoon Qannauji
MORE BYMashkoor Mamnoon Qannauji
khulegī niiñd ḳhvāboñ kā gharauñdā TuuT jā.egā
haqīqat rū-ba-rū hogī to sapnā TuuT jā.egā
tumheñ to chāñd banñā hai mirī tārīk rātoñ kā
sitāra tum nahīñ banñā sitārā TuuT jā.egā
mujhe apnoñ yā ġhairoñ se koī shikva nahīñ lekin
fareb itne mileñge to bharosa TuuT jā.egā
mirā ma.asūm dil to fitratan shīshe ke jaisā hai
musalsal vaar hone par to lohā TuuT jā.egā
abhī kuchh vaqt baaqī hai shajar pe zard patte kā
havā.eñ tez hone se ye pattā TuuT jā.egā
tumheñ har haal meñ 'mashkūr' us ko bhuul jaanā hai
irāda tum nahīñ karnā irāda TuuT jā.egā
khulegi nind KHwabon ka gharaunda TuT jaega
haqiqat ru-ba-ru hogi to sapna TuT jaega
tumhein to chand banna hai meri tarik raaton ka
sitara tum nahin banna sitara TuT jaega
mujhe apnon ya ghairon se koi shikwa nahin lekin
fareb itne milenge to bharosa TuT jaega
mera masum dil to fitratan shishe ke jaisa hai
musalsal war hone par to loha TuT jaega
abhi kuchh waqt baqi hai shajar pe zard patte ka
hawaen tez hone se ye patta TuT jaega
tumhein har haal mein 'mashkur' us ko bhul jaana hai
irada tum nahin karna irada TuT jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.