khuli faza mein parindon pe war mat karna
khuli faza mein parindon pe war mat karna
Mohaamad tahseen Asrar
MORE BYMohaamad tahseen Asrar
khulī fazā meñ parindoñ pe vaar mat karnā
ye zālimāna ravish iḳhtiyār mat karnā
nigāh-e-ahl-e-mohabbat meñ dil hai ā.īna
is aa.ine ko kabhī dāġh-dār mat karnā
hamesha ḳhuun ke aañsū rulā.egā tum ko
jo ḳhud-ġharaz ho bahut us se pyaar mat karnā
kisī bhī shaḳhs pe kar lenā tum yaqīñ lekin
musāfiroñ kā kabhī e.atibār mat karnā
husūl-e-zar kī tamanna meñ itnā yaad rahe
kisī kā dāman-e-jāñ taar taar mat karnā
phisal ga.e haiñ jo lamhe tumhāre hāthoñ se
palaT ke ā.eñge ye intizār mat karnā
tumhāre pyaar pe jis ko bahut bharosa ho
use ḳhudā ke liye ashk-bār mat karnā
tumhāre vāste jo bā.is-e-nadāmat ho
koī bhī aisā amal iḳhtiyār mat karnā
ye aur baat ki 'asrār' jald aa na sake
tum apne dil ko bahut be-qarār mat karnā
khuli faza mein parindon pe war mat karna
ye zalimana rawish iKHtiyar mat karna
nigah-e-ahl-e-mohabbat mein dil hai aaina
is aaine ko kabhi dagh-dar mat karna
hamesha KHun ke aansu rulaega tum ko
jo KHud-gharaz ho bahut us se pyar mat karna
kisi bhi shaKHs pe kar lena tum yaqin lekin
musafiron ka kabhi eatibar mat karna
husul-e-zar ki tamanna mein itna yaad rahe
kisi ka daman-e-jaan tar tar mat karna
phisal gae hain jo lamhe tumhaare hathon se
palaT ke aaenge ye intizar mat karna
tumhaare pyar pe jis ko bahut bharosa ho
use KHuda ke liye ashk-bar mat karna
tumhaare waste jo bais-e-nadamat ho
koi bhi aisa amal iKHtiyar mat karna
ye aur baat ki 'asrar' jald aa na sake
tum apne dil ko bahut be-qarar mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.