khuli jab aankh to dekha ki tha bazar ka halqa
khulī jab aañkh to dekhā ki thā bāzār kā halqa
ḳhudā mā'lūm kab TuuTā mire pindār kā halqa
tulū-e-shām bhī mujh ko naved-e-sub.h-e-fardā hai
kahīñ chamke hilāl-e-abrū-e-ḳham-dār kā halqa
mirā ḳhūn-e-tamannā hai hinā-band-e-kaf-e-qātil
junūn-e-shauq kaam aayā farāz-e-dār kā halqa
dil-e-but-āshnā kuchh is tarah sū-e-haram aayā
barhaman jaise nikle toḌ kar zunnār kā halqa
talab kī raah meñ pā-e-anā se bārhā uljhā
kabhī inkār kā halqa kabhī iqrār kā halqa
ye kū-e-ġham badal jaa.e na ab dasht-e-tamannā se
junūñ-angez hai zindāñ kī har dīvār kā halqa
har ik mahfil meñ jaanā har kisī se baat kar lenā
gavārā kar nahīñ saktā mire me'yār kā halqa
lahū qadmoñ se yuuñ phūTā ki zanjīreñ lahak uTThīñ
munavvar ho gayā zindān-e-tañg-o-tār kā halqa
ġham-e-imroz ne paimāñ kiyā hai ishq-e-fardā se
kabhī to hogā shāna-gīr zulf-e-yār kā halqa
koī āsāñ na thā lekin bahut mushkil na thā 'tarzī'
mirī zarb-e-nafas se khul gayā asrār kā halqa
khuli jab aankh to dekha ki tha bazar ka halqa
KHuda ma'lum kab TuTa mere pindar ka halqa
tulu-e-sham bhi mujh ko nawed-e-subh-e-farda hai
kahin chamke hilal-e-abru-e-KHam-dar ka halqa
mera KHun-e-tamanna hai hina-band-e-kaf-e-qatil
junun-e-shauq kaam aaya faraaz-e-dar ka halqa
dil-e-but-ashna kuchh is tarah su-e-haram aaya
barhaman jaise nikle toD kar zunnar ka halqa
talab ki rah mein pa-e-ana se barha uljha
kabhi inkar ka halqa kabhi iqrar ka halqa
ye ku-e-gham badal jae na ab dasht-e-tamanna se
junun-angez hai zindan ki har diwar ka halqa
har ek mahfil mein jaana har kisi se baat kar lena
gawara kar nahin sakta mere me'yar ka halqa
lahu qadmon se yun phuTa ki zanjiren lahak uTThin
munawwar ho gaya zindan-e-tang-o-tar ka halqa
gham-e-imroz ne paiman kiya hai ishq-e-farda se
kabhi to hoga shana-gir zulf-e-yar ka halqa
koi aasan na tha lekin bahut mushkil na tha 'tarzi'
meri zarb-e-nafas se khul gaya asrar ka halqa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.