khuli jo aankh to sadiyon ka fasla nikla
khulī jo aañkh to sadiyoñ kā fāsla niklā
mire vajūd meñ ik shaḳhs dūsrā niklā
ajab na thā mujhe sahrā kī dhuup khā jaatī
qadam baḌhā.e junūñ ne to rāsta niklā
ḳhabar nahīñ ki vo āshob-e-vaqt kaisā thā
har ek aañkh meñ barsoñ kā ratjagā niklā
firāq-e-sub.h meñ vo aañkh jal rahī thī magar
bujhā huā dar-e-hijrāñ pe ik diyā niklā
ġhazab kī aag dahakne lagī hai sīnoñ meñ
ye kaun dhuup meñ le kar ke aa.ina niklā
har ek phuul ne jhuk kar tujhe salāmī dī
jo sehn-e-gul meñ kabhī terā tazkira niklā
palak jhapakte hī duniyā badal ga.ī 'sāġhar'
ki merā saaya bhī mujh se gurez-pā niklā
khuli jo aankh to sadiyon ka fasla nikla
mere wajud mein ek shaKHs dusra nikla
ajab na tha mujhe sahra ki dhup kha jati
qadam baDhae junun ne to rasta nikla
KHabar nahin ki wo aashob-e-waqt kaisa tha
har ek aankh mein barson ka ratjaga nikla
firaq-e-subh mein wo aankh jal rahi thi magar
bujha hua dar-e-hijran pe ek diya nikla
ghazab ki aag dahakne lagi hai sinon mein
ye kaun dhup mein le kar ke aaina nikla
har ek phul ne jhuk kar tujhe salami di
jo sehn-e-gul mein kabhi tera tazkira nikla
palak jhapakte hi duniya badal gai 'saghar'
ki mera saya bhi mujh se gurez-pa nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.