khuli khiDki se din bhar jhankta hun
khulī khiḌkī se din bhar jhāñktā huuñ
maiñ har chehre meñ tujh ko DhūñDhtā huuñ
tujhe maiñ kis tarah pahchān pā.ūñ
ki apne aap se nā-āshnā huuñ
jahāñ insān patthar ho chuke haiñ
maiñ us bastī meñ kaise jī rahā huuñ
jahāñ se kal mujhe kaaTā gayā thā
vahīñ se aaj maiñ phir ug rahā huuñ
maiñ is sañgīn sannāTe meñ 'qā.em'
kisī tūfāñ kī aahaT sun rahā huuñ
khuli khiDki se din bhar jhankta hun
main har chehre mein tujh ko DhunDhta hun
tujhe main kis tarah pahchan paun
ki apne aap se na-ashna hun
jahan insan patthar ho chuke hain
main us basti mein kaise ji raha hun
jahan se kal mujhe kaTa gaya tha
wahin se aaj main phir ug raha hun
main is sangin sannaTe mein 'qaem'
kisi tufan ki aahaT sun raha hun
- Book : Pakistani Adab (Pg. 638)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.