khuli lashon ka qabristan ban ke
khulī lāshoñ kā qabristān ban ke
bahut chup hai zamīñ vīrān ban ke
sharīk-e-majlis-e-darvesh ho kar
tire dar jā.eñge mehmān ban ke
hai ye ḳhuuñ kī nadī taḳhlīq terī
kahāñ tū chal diyā anjān ban ke
yahāñ par aag hai merī lagā.ī
ki huuñ sharminda maiñ insān ban ke
khuli lashon ka qabristan ban ke
bahut chup hai zamin viran ban ke
sharik-e-majlis-e-darwesh ho kar
tere dar jaenge mehman ban ke
hai ye KHun ki nadi taKHliq teri
kahan tu chal diya anjaan ban ke
yahan par aag hai meri lagai
ki hun sharminda main insan ban ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.