khuli rakhunga main kamre ki khiDkiyan kab tak
khulī rakhūñgā maiñ kamre kī khiḌkiyāñ kab tak
idhar se guzregā ḳhushbū kā kārvāñ kab tak
musāfiro pe ye rāsta ho mehrbāñ kab tak
zamīn thak ga.ī pahuñchegā kārvāñ kab tak
libās-o-jism pe gard-e-safar to Thahregī
rakhūñ sambhāl ke muTThī meñ kahkashāñ kab tak
zamīn roz ye mujh se savāl kartī hai
tumhāre sar pe rahegā ye āsmāñ kab tak
sikhā do apne charāġhoñ ko āñdhiy.oñ kī zabāñ
rahoge aise havāoñ se bad-gumāñ kab tak
maiñ band kamre meñ tanhā.ī se jalā huuñ miyāñ
saḌak pe āye.gā us jism kā dhuāñ kab tak
vo niiñd lagne se pahle mujhe jagātā hai
karūñ maiñ apnī thakan ko bhī rā.egāñ kab tak
ye baat sach hai farishta sifat nahīñ huuñ maiñ
baḌhā-chaḌhā ke likheñ merī dāstāñ kab tak
khuli rakhunga main kamre ki khiDkiyan kab tak
idhar se guzrega KHushbu ka karwan kab tak
musafiro pe ye rasta ho mehrban kab tak
zamin thak gai pahunchega karwan kab tak
libas-o-jism pe gard-e-safar to Thahregi
rakhun sambhaal ke muTThi mein kahkashan kab tak
zamin roz ye mujh se sawal karti hai
tumhaare sar pe rahega ye aasman kab tak
sikha do apne charaghon ko aandhiyon ki zaban
rahoge aise hawaon se bad-guman kab tak
main band kamre mein tanhai se jala hun miyan
saDak pe aayega us jism ka dhuan kab tak
wo nind lagne se pahle mujhe jagata hai
karun main apni thakan ko bhi raegan kab tak
ye baat sach hai farishta sifat nahin hun main
baDha-chaDha ke likhen meri dastan kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.