khulti gai ek ek girah nafsiyat ki
khultī ga.ī ik ek girah nafsiyāt kī
juuñ juuñ ġhazal meñ tere havāle se baat kī
dil ne kiyā ḳhulūs se us bevafā ko pyaar
dil ne hamāre saath baḌī vārdāt kī
itnī hī aur baḌh ga.ī bāham muġhā.irat
jitnī nazar ziyāda huī iltifāt kī
ma.alūm ho sakā na kahāñ zindagī milī
joḌī bahut kaḌī se kaḌī vāqi.āt kī
maz.hab kā sirf naam hai varna samāj par
ab tak hai muhr sabt vahī zāt-pāt kī
sach kyā likheñ ki TuuT ga.e sab qalam nadīm
sab raushnā.ī suukh chukī hai davāt kī
ik shaḳhs saath le gayā 'shaukat' shu.ūr-e-vaqt
ab to tamīz din kī rahī hai na raat kī
khulti gai ek ek girah nafsiyat ki
jun jun ghazal mein tere hawale se baat ki
dil ne kiya KHulus se us bewafa ko pyar
dil ne hamare sath baDi wardat ki
itni hi aur baDh gai baham mughairat
jitni nazar ziyaada hui iltifat ki
malum ho saka na kahan zindagi mili
joDi bahut kaDi se kaDi waqiat ki
mazhab ka sirf nam hai warna samaj par
ab tak hai muhr sabt wahi zat-pat ki
sach kya likhen ki TuT gae sab qalam nadim
sab raushnai sukh chuki hai dawat ki
ek shaKHs sath le gaya 'shaukat' shuur-e-waqt
ab to tamiz din ki rahi hai na raat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.