khulti hui muTThi mein aansu hai ki tara hai
khultī huī muTThī meñ aañsū hai ki taarā hai
ik ḳhvāb tumhārā hai ik ḳhvāb hamārā hai
lamhoñ kī kalā.ī meñ bas yaad khanaktī hai
bah jaate haiñ sab is meñ ye vaqt kā dhārā hai
kyā dasht-e-rifāqat meñ ehsās kī sūrat hai
kaise use batlā.eñ kyā haal hamārā hai
khulti hui muTThi mein aansu hai ki tara hai
ek KHwab tumhaara hai ek KHwab hamara hai
lamhon ki kalai mein bas yaad khanakti hai
bah jate hain sab is mein ye waqt ka dhaara hai
kya dasht-e-rifaqat mein ehsas ki surat hai
kaise use batlaen kya haal hamara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.