khulti nahin hai is liye meri zaban-e-gham
khultī nahīñ hai is liye merī zabān-e-ġham
ghabrā na jaa.e sun ke kahīñ dāstān-e-ġham
is āshiqī meñ koī na.ī baat to nahīñ
ik nā-tavāñ sī jaan banī hai jahān-e-ġham
ye bhī kisī tarah se gavārā nahīñ mujhe
auroñ kī ho zabān se merā bayān-e-ġham
kartā hai sabr-o-zabt se mehmāñ-navāziyāñ
dil ban gayā hai shauq se ḳhud mezbān-e-ġham
sar bhī jhukā liyā hai isī dil ke sāmne
'ejāz' ke liye hai yahī āstān-e-ġham
khulti nahin hai is liye meri zaban-e-gham
ghabra na jae sun ke kahin dastan-e-gham
is aashiqi mein koi nai baat to nahin
ek na-tawan si jaan bani hai jahan-e-gham
ye bhi kisi tarah se gawara nahin mujhe
auron ki ho zaban se mera bayan-e-gham
karta hai sabr-o-zabt se mehman-nawaziyan
dil ban gaya hai shauq se KHud mezban-e-gham
sar bhi jhuka liya hai isi dil ke samne
'ejaz' ke liye hai yahi aastan-e-gham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.