KHulus-e-dil se maine sar tumhaare dar pe rakkha tha
ḳhulūs-e-dil se maiñ ne sar tumhāre dar pe rakkhā thā
magar kis dil se tum ne paañv mere sar pe rakkhā thā
maiñ har haare hue kā saath detā thā isī Dar se
mirā sar maañg kar tum ne kisī ḳhanjar pe rakkhā thā
vufūr-e-shauq se dil rakh diyā thā pā-e-nāzuk par
mujhe hosh aaya to dekhā ki sar patthar pe rakkhā thā
mirī chhaprī meñ vo iḳhlās kā bhūkā chalā aaya
mahal āv-bhagat kā kyūñki āDambar pe rakkhā thā
bahāreñ apne aslī rang meñ thiiñ merī sohbat meñ
fareb-e-ḳhush-numā.ī duur ke manzar pe rakkhā thā
mujhe ḳhilqat kī ḳhilqat hadd-e-duniyā par uThā laa.ī
ki jaise bojh merā hī zamāne bhar pe rakkhā thā
KHulus-e-dil se main ne sar tumhaare dar pe rakkha tha
magar kis dil se tum ne panw mere sar pe rakkha tha
main har haare hue ka sath deta tha isi Dar se
mera sar mang kar tum ne kisi KHanjar pe rakkha tha
wufur-e-shauq se dil rakh diya tha pa-e-nazuk par
mujhe hosh aaya to dekha ki sar patthar pe rakkha tha
meri chhapri mein wo iKHlas ka bhuka chala aaya
mahal aaw-bhagat ka kyunki aaDambar pe rakkha tha
bahaaren apne asli rang mein thin meri sohbat mein
fareb-e-KHush-numai dur ke manzar pe rakkha tha
mujhe KHilqat ki KHilqat hadd-e-duniya par uTha lai
ki jaise bojh mera hi zamane bhar pe rakkha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.