KHulus-o-fikr ki ye raushni kahan tak ho
ḳhulūs-o-fikr kī ye raushnī kahāñ tak ho
maiñ sochtā huuñ tirī chāñdnī kahāñ tak ho
judā rahogī magar kis liye kidhar kab tak
mujhe pata to chale tum mirī kahāñ tak ho
kahāñ zamīn kahāñ āsmāñ kahāñ ham tum
yahī hai farq to phir dostī kahāñ tak ho
lahū lahū bhī huā pairahan nazar meñ rahā
jo Thes dil ko lagī vo lagī kahāñ tak ho
KHulus-o-fikr ki ye raushni kahan tak ho
main sochta hun teri chandni kahan tak ho
juda rahogi magar kis liye kidhar kab tak
mujhe pata to chale tum meri kahan tak ho
kahan zamin kahan aasman kahan hum tum
yahi hai farq to phir dosti kahan tak ho
lahu lahu bhi hua pairahan nazar mein raha
jo Thes dil ko lagi wo lagi kahan tak ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.