KHulus-o-pyar gar ahl-e-chaman ke darmiyan hota
KHulus-o-pyar gar ahl-e-chaman ke darmiyan hota
Nazakat Ullah Khan Faiz
MORE BYNazakat Ullah Khan Faiz
ḳhulūs-o-pyār gar ahl-e-chaman ke darmiyāñ hotā
chaman meñ rahnā ham ko kis liye bār-e-garāñ hotā
chhupā rakhā ajal kī aañkh se is nā-tavānī ne
vagarna paikar-e-ḳhākī ye jannat-āshiyāñ hotā
fazīlat us ko sābit karnī thī insān kī varna
rasūl aate na duniyā meñ na sahrā gulsitāñ hotā
luTā kar daulat-e-hosh-o-ḳhirad ye mudda.ā paayā
hameñ ai kaash kuchh andāza-e-sūd-o-ziyāñ hotā
bisāt-e-āshiyāñ ai barq kyā do-chār tinke the
maza to jab thā terī zad meñ saarā gulsitāñ hotā
adālat meñ zarūrat hī na thī jhūTī gavāhī ko
agar jo ḳhanjar-e-qātil haqīqat kī zabāñ hotā
na karte nafratoñ kī tuḳhm-rezī ham agar 'faizī'
to ye hindostāñ apnā vahī jannat-nishāñ hotā
KHulus-o-pyar gar ahl-e-chaman ke darmiyan hota
chaman mein rahna hum ko kis liye bar-e-garan hota
chhupa rakha ajal ki aankh se is na-tawani ne
wagarna paikar-e-KHaki ye jannat-ashiyan hota
fazilat us ko sabit karni thi insan ki warna
rasul aate na duniya mein na sahra gulsitan hota
luTa kar daulat-e-hosh-o-KHirad ye muddaa paya
hamein ai kash kuchh andaza-e-sud-o-ziyan hota
bisat-e-ashiyan ai barq kya do-chaar tinke the
maza to jab tha teri zad mein sara gulsitan hota
adalat mein zarurat hi na thi jhuTi gawahi ko
agar jo KHanjar-e-qatil haqiqat ki zaban hota
na karte nafraton ki tuKHm-rezi hum agar 'faizi'
to ye hindostan apna wahi jannat-nishan hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.