KHulus-o-pyar se kashkol dil ka bharna bhi
ḳhulūs-o-pyār se kashkol dil kā bharnā bhī
kisī ke ġham meñ ibādat hai aah karnā bhī
kalī kī aañkh bhar aa.ī ye soch kar shāyad
bas ek raat meñ khilnā bhī hai bikharnā bhī
na jaane kis liye ham log bhuul baiThe haiñ
ki pul-sirāt se ik roz hai guzarnā bhī
bas ek lamhe se hotā hai ik sadī kā janm
sadī kī maut hai lamhe kā qatl karnā bhī
simaTnā din kā abhī tak hai merī āñkhoñ meñ
ġhurūr shab kā nigāhoñ meñ hai bikharnā bhī
vo har maqām pe be-ḳhauf ho ke bolegā
vo jāntā hai har ik pal ḳhudā se Darnā bhī
jhulas ke rah ga.e jab sāya-dār peḌ 'shu.ūr'
to kyā ajab hai shagūfoñ kā rang utarnā bhī
KHulus-o-pyar se kashkol dil ka bharna bhi
kisi ke gham mein ibaadat hai aah karna bhi
kali ki aankh bhar aai ye soch kar shayad
bas ek raat mein khilna bhi hai bikharna bhi
na jaane kis liye hum log bhul baiThe hain
ki pul-siraat se ek roz hai guzarna bhi
bas ek lamhe se hota hai ek sadi ka janm
sadi ki maut hai lamhe ka qatl karna bhi
simaTna din ka abhi tak hai meri aankhon mein
ghurur shab ka nigahon mein hai bikharna bhi
wo har maqam pe be-KHauf ho ke bolega
wo jaanta hai har ek pal KHuda se Darna bhi
jhulas ke rah gae jab saya-dar peD 'shuur'
to kya ajab hai shagufon ka rang utarna bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.