KHulus pyar ka ab koi silsila bhi nahin
ḳhulūs pyaar kā ab koī silsila bhī nahīñ
diloñ ke biich vo pahlā sā rābta bhī nahīñ
hamārā un kā koī ab to vāsta bhī nahīñ
kuchh is tarah se alag haiñ ki tazkira bhī nahīñ
maiñ dekhtā huuñ tamāsha vo khiñch rahe haiñ bahut
kamāl ye hai kashīda mo.āmla bhī nahīñ
ajab sukūt hai taarī ḳhamosh haiñ donoñ
na un ko koī shikāyat mujhe gila bhī nahīñ
ab aise moḌ pe aakar alag alag haiñ khaḌe
qarīb-tar bhī nahīñ aur fāsla bhī nahīñ
na raushnī na añdherā ajiib manzar hai
tulū-e-sub.h nahīñ shaam ab siyah bhī nahīñ
sune to koī zarā hosh-o-gosh se ik din
hamārī baat kā mafhūm bad-maza bhī nahīñ
kisī se koī shikāyat nahīñ ye dil merā
jo ḳhush-nasīb nahīñ hai to ġham-zada bhī nahīñ
batā.e 'yās' ki is dil ko kis se deñ tashbīh
nahīñ hai sang-sifat to gudāḳhta bhī nahīñ
KHulus pyar ka ab koi silsila bhi nahin
dilon ke bich wo pahla sa rabta bhi nahin
hamara un ka koi ab to wasta bhi nahin
kuchh is tarah se alag hain ki tazkira bhi nahin
main dekhta hun tamasha wo khinch rahe hain bahut
kamal ye hai kashida moamla bhi nahin
ajab sukut hai tari KHamosh hain donon
na un ko koi shikayat mujhe gila bhi nahin
ab aise moD pe aakar alag alag hain khaDe
qarib-tar bhi nahin aur fasla bhi nahin
na raushni na andhera ajib manzar hai
tulu-e-subh nahin sham ab siyah bhi nahin
sune to koi zara hosh-o-gosh se ek din
hamari baat ka mafhum bad-maza bhi nahin
kisi se koi shikayat nahin ye dil mera
jo KHush-nasib nahin hai to gham-zada bhi nahin
batae 'yas' ki is dil ko kis se den tashbih
nahin hai sang-sifat to gudaKHta bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.