KHulus pyar wafa dosti sila kya hai
ḳhulūs pyaar vafā dostī sila kyā hai
haTāo aisī hikāyāt meñ dharā kyā hai
sharīf logoñ kī pagḌī uchhālte phirnā
hamāre ahd ke bachchoñ kā mashġhala kyā hai
mujhe ye bojh uThāne kī hai zarūrat kyā
har aadmī mire baare meñ sochtā kyā hai
sabhī ne bhiiḌ meñ ik dūsre pe vaar kiyā
kisī ne ye nahīñ pūchhā ki vāqi.a kyā hai
na dil meñ yaad na āñkhoñ meñ koī ḳhvāb-e-sahar
bikharte jism ke malbe meñ DhūñDhtā kyā hai
KHulus pyar wafa dosti sila kya hai
haTao aisi hikayat mein dhara kya hai
sharif logon ki pagDi uchhaalte phirna
hamare ahd ke bachchon ka mashghala kya hai
mujhe ye bojh uThane ki hai zarurat kya
har aadmi mere bare mein sochta kya hai
sabhi ne bhiD mein ek dusre pe war kiya
kisi ne ye nahin puchha ki waqia kya hai
na dil mein yaad na aankhon mein koi KHwab-e-sahar
bikharte jism ke malbe mein DhunDhta kya hai
- Book : Aalamgeer Adab (Pg. B-150 E-176)
- Author : Aarif Khursheed
- Publication : Nawa-e-Deccan Publication Aurangabad (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.