KHumar-e-qurb mein is baat ka KHayal na tha
ḳhumār-e-qurb meñ is baat kā ḳhayāl na thā
hamāre zehn meñ kuchh aur thā visāl na thā
tirī judā.ī meñ mahtāb dekhte ham kyā
hamārā mas.ala tū thā tirā jamāl na thā
phir ek din use sab log dekhne pahuñche
palaT ke aa.e to lab par koī savāl na thā
kamāl ye hai tire hijr meñ salāmat huuñ
tire firāq meñ marnā koī kamāl na thā
ġhamoñ ke vahm meñ guzrī hai zindagī saarī
malāl karte rahe go koī malāl na thā
jo terā haal hai is se to saaf lagtā hai
hamāre baad kisī ko tirā ḳhayāl na thā
KHumar-e-qurb mein is baat ka KHayal na tha
hamare zehn mein kuchh aur tha visal na tha
teri judai mein mahtab dekhte hum kya
hamara masala tu tha tera jamal na tha
phir ek din use sab log dekhne pahunche
palaT ke aae to lab par koi sawal na tha
kamal ye hai tere hijr mein salamat hun
tere firaq mein marna koi kamal na tha
ghamon ke wahm mein guzri hai zindagi sari
malal karte rahe go koi malal na tha
jo tera haal hai is se to saf lagta hai
hamare baad kisi ko tera KHayal na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.