KHumar-e-shab mein jo ek dusre pe girte hain
ḳhumār-e-shab meñ jo ik dūsre pe girte haiñ
vo log mai se ziyāda nashe pe girte haiñ
sameT legā vo apnī kushāda bāñhoñ meñ
jo gir rahe haiñ isī aasre pe girte haiñ
ye ishq hai ki havas in dinoñ to parvāne
diye kī lau ko baḌhā kar diye pe girte haiñ
guzārtā huuñ jo shab ishq-e-be-ma.āsh ke saath
to sub.h ashk mire nāshte pe girte haiñ
ilāj-e-ahl-e-sitam chāhiye abhī se 'zafar'
abhī to sañg zarā fāsle pe girte haiñ
KHumar-e-shab mein jo ek dusre pe girte hain
wo log mai se ziyaada nashe pe girte hain
sameT lega wo apni kushada banhon mein
jo gir rahe hain isi aasre pe girte hain
ye ishq hai ki hawas in dinon to parwane
diye ki lau ko baDha kar diye pe girte hain
guzarta hun jo shab ishq-e-be-maash ke sath
to subh ashk mere nashte pe girte hain
ilaj-e-ahl-e-sitam chahiye abhi se 'zafar'
abhi to sang zara fasle pe girte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.