KHumar mein kabhi girte kabhi sanbhalte hue
ḳhumār meñ kabhī girte kabhī sañbhalte hue
vo ḳhvāb-gāh se nikle haiñ aañkh malte hue
nisār karne lage apnī jaan parvāne
na jaane sham.a ne kyā kah diyā pighalte hue
palaT palaT ke maiñ dekhā kiyā usī jānib
ajiib haal thā is shahr se nikalte hue
ye māntā huuñ kī masrūf haiñ bahut lekin
kabhī idhar bhī nikal ā.īye Tahalte hue
ye lag rahā hai ki aane ko hai vo rashk-e-chaman
ġhazal-sarā haiñ havā.eñ bhī aaj chalte hue
misāl-e-abr vo kyā phuuT phuuT kar royā
tirā asiir tirī qaid se nikalte hue
ab e.atibār kisī kā kareñ to kaise kareñ
ki ham ne dekhe haiñ chehre ka.ī badalte hue
asar duāoñ meñ hotā hai kis qadar ma.arūf
balā.eñ dekhī haiñ ham ne saroñ se Talte hue
KHumar mein kabhi girte kabhi sanbhalte hue
wo KHwab-gah se nikle hain aankh malte hue
nisar karne lage apni jaan parwane
na jaane shama ne kya kah diya pighalte hue
palaT palaT ke main dekha kiya usi jaanib
ajib haal tha is shahr se nikalte hue
ye manta hun ki masruf hain bahut lekin
kabhi idhar bhi nikal aaiye Tahalte hue
ye lag raha hai ki aane ko hai wo rashk-e-chaman
ghazal-sara hain hawaen bhi aaj chalte hue
misal-e-abr wo kya phuT phuT kar roya
tera asir teri qaid se nikalte hue
ab eatibar kisi ka karen to kaise karen
ki hum ne dekhe hain chehre kai badalte hue
asar duaon mein hota hai kis qadar maruf
balaen dekhi hain hum ne saron se Talte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.