Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHunuk-joshi na karte jun saba gar ye butan humse

Wali Uzlat

KHunuk-joshi na karte jun saba gar ye butan humse

Wali Uzlat

MORE BYWali Uzlat

    ḳhunuk-joshī na karte juuñ sabā gar ye butāñ ham se

    to misl-e-ġhuncha-e-gul dil na jaatā rā.egāñ ham se

    phire us zulf-o-rū ke 'ishq meñ donoñ-jahāñ ham se

    udhar kuffār phir ga.e sab idhar īmāniyāñ ham se

    'adū the maalī aur sayyād gulchīñ ne qayāmat

    ḳhudā lā'nat kare tīnoñ pe chhūTā gulistāñ ham se

    ujāḌā girya-e-shor-e-junūñ ke vāste ham ko

    vale gulshan ko aur āb-o-namak thā bāġhbāñ ham se

    hameñ to rāstī joñ tiir hargiz raas aa.ī niiñ

    hamesha TeḌhe rahte haiñ ye abrū-kamāñ ham se

    aqab yāroñ ke sar par ḳhaak karte ham bhī jaate haiñ

    rahā jaatā nahīñ joñ gard-e-rāh-e-kārvāñ ham se

    hameñ tiflāñ to patthar mohabbat se na bhūleñge

    chale sahrā ko ham phir ga.e balā se shahriyāñ ham se

    hamīñ Tuk zab.h kar le sāya-e-gulbun meñ jiitā rah

    chhuḌāyā ne gar sayyād gul āstāñ ham se

    maze meñ dard-e-sar ke kab se mohtāj-e-davā 'uzlat'

    'abas ai sandalī-rañgo hue ho sargirāñ ham se

    KHunuk-joshi na karte jun saba gar ye butan hum se

    to misl-e-ghuncha-e-gul dil na jata raegan hum se

    phire us zulf-o-ru ke 'ishq mein donon-jahan hum se

    udhar kuffar phir gae sab idhar imaniyan hum se

    'adu the mali aur sayyaad gulchin ne qayamat ki

    KHuda la'nat kare tinon pe chhuTa gulistan hum se

    ujaDa girya-e-shor-e-junun ke waste hum ko

    wale gulshan ko aur aab-o-namak tha baghban hum se

    hamein to rasti jon tir hargiz ras aai nin

    hamesha TeDhe hi rahte hain ye abru-kaman hum se

    aqab yaron ke sar par KHak karte hum bhi jate hain

    raha jata nahin jon gard-e-rah-e-karwan hum se

    hamein tiflan to patthar ki mohabbat se na bhulenge

    chale sahra ko hum phir gae bala se shahriyan hum se

    hamin Tuk zabh kar le saya-e-gulbun mein jita rah

    chhuDaya tu ne gar sayyaad gul ka aastan hum se

    maze mein dard-e-sar ke kab se mohtaj-e-dawa 'uzlat'

    'abas ai sandali-rango hue ho sargiran hum se

    Source :
    • Deewan-e-uzlat(Rekhta Website)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now