KHurshid jhankta hai rida-e-sahab se
ḳhurshīd jhāñktā hai ridā-e-sahāb se
yā nuur chhan rahā hai kisī ke naqāb se
bāhar jo aaj dekh liyā hai hijāb se
sūraj laraz rahā hai tumhāre shabāb se
nāseh Darā rahe the ḳhudā ke 'azāb se
ḳhud hī janāb baaz na aa.e sharāb se
lamhe guzar chuke haiñ jo phūloñ kī sej par
is daur-e-pur-ḳhatar meñ vo lagte haiñ ḳhvāb se
ḳhud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafā
bas itnī iltijā hai hamārī janāb se
har roz ik na ik na.ī zid hai zabān par
tang aa gayā huuñ maiñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb se
ahl-e-vafā meñ merā vahī naam paḌ gayā
tum ne mujhe navāz diyā jis ḳhitāb se
kin manziloñ pe merā nishān-e-qadam nahīñ
pūchho mirā maqām mah-o-āftāb se
jo husn kā kahīñ bhī tahaffuz na kar sake
phir kaun sā hai fā.eda aisī naqāb se
saaya bhī jis hasīn kā DhūñDe na mil sakā
be-misl vo ḳhudā ke hue intiḳhāb se
sun kar hamāre she'r vo kuchh muskurā diye
'fārūq' aaj ham bhī rahe kāmyāb se
KHurshid jhankta hai rida-e-sahab se
ya nur chhan raha hai kisi ke naqab se
bahar jo aaj dekh liya hai hijab se
suraj laraz raha hai tumhaare shabab se
naseh Dara rahe the KHuda ke 'azab se
KHud hi janab baz na aae sharab se
lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par
is daur-e-pur-KHatar mein wo lagte hain KHwab se
KHud ko to pahle dekhiye phir kahiye bewafa
bas itni iltija hai hamari janab se
har roz ek na ek nai zid hai zaban par
tang aa gaya hun main dil-e-KHana-KHarab se
ahl-e-wafa mein mera wahi nam paD gaya
tum ne mujhe nawaz diya jis KHitab se
kin manzilon pe mera nishan-e-qadam nahin
puchho mera maqam mah-o-aftab se
jo husn ka kahin bhi tahaffuz na kar sake
phir kaun sa hai faeda aisi naqab se
saya bhi jis hasin ka DhunDe na mil saka
be-misl wo KHuda ke hue intiKHab se
sun kar hamare she'r wo kuchh muskura diye
'faruq' aaj hum bhi rahe kaamyab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.