KHurshid-ru ke aage ho nur ka sawali
ḳhurshīd-rū ke aage ho nuur kā savālī
kaasa liye gadā kā aayā hai chāñd ḳhālī
sunnāhaTā judā hai aur be-ḳhudī nirālī
hai mere jī ke haq meñ ye abr bars-gālī
majnūñ to bāvlā thā jin raah lī jañgal kī
syānā vahī ki jis niiñ ki shahr kī havā lī
lohū meñ loTtā hai baḳht-e-siyah kā barjā
kaalī ghaTā meñ zebā laage shafaq kī laalī
KHurshid-ru ke aage ho nur ka sawali
kasa liye gada ka aaya hai chand KHali
sunnahaTa juda hai aur be-KHudi nirali
hai mere ji ke haq mein ye abr bars-gali
majnun to bawla tha jin rah li jangal ki
syana wahi ki jis nin ki shahr ki hawa li
lohu mein loTta hai baKHt-e-siyah ka barja
kali ghaTa mein zeba lage shafaq ki lali
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 281)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.