KHurshid-ru ke mahr ki jis par nigah ho
ḳhurshīd-rū ke mahr kī jis par nigāh ho
taale usī kā ḳhalq meñ raḳhshanda-māh ho
dushman haiñ diin o dil ke butāñ dekh be-ḳhabar
is tarah kiijo rabt ki jis meñ nibāh ho
hargiz na aib-e-husn kahe kis ke muñh pe saaf
kar ā.īna mirā dil-e-raushan nigāh ho
rahtā hai dil to us ke zanaḳhdāñ ke chaah biich
niiñ hai ba.iid us ko bhī gar dil kī chaah ho
āsāñ sirāt-e-hashr se ho ek pal meñ paar
gar saath 'ishq'-e-āsī ke fazl-e-ilāh ho
KHurshid-ru ke mahr ki jis par nigah ho
tale usi ka KHalq mein raKHshanda-mah ho
dushman hain din o dil ke butan dekh be-KHabar
is tarah kijo rabt ki jis mein nibah ho
hargiz na aib-e-husn kahe kis ke munh pe saf
kar aaina mera dil-e-raushan nigah ho
rahta hai dil to us ke zanaKHdan ke chah bich
nin hai baid us ko bhi gar dil ki chah ho
aasan siraat-e-hashr se ho ek pal mein par
gar sath 'ishq'-e-asi ke fazl-e-ilah ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.