KHush-adaon se bas allah bachae dil ko
ḳhush-adāoñ se bas allāh bachā.e dil ko
ki banā lete haiñ apnā ye parā.e dil ko
ishq āsāñ nahīñ ai jaan baḌā mushkil hai
jaan de de magar insāñ na lagā.e dil ko
ye vo muztar hai ki Thahrā hai na Thahregā kabhī
laakh muTThī meñ koī apne dabā.e dil ko
nigah-e-yār bhī hai taak meñ andāz bhī hai
in luTeroñ se bas allāh bachā.e dil ko
haath us gauhar-e-ḳhūbī ke hai beḌā 'sābir'
bahr-e-ulfat meñ Dubā.e yā tirā.e dil ko
KHush-adaon se bas allah bachae dil ko
ki bana lete hain apna ye parae dil ko
ishq aasan nahin ai jaan baDa mushkil hai
jaan de de magar insan na lagae dil ko
ye wo muztar hai ki Thahra hai na Thahrega kabhi
lakh muTThi mein koi apne dabae dil ko
nigah-e-yar bhi hai tak mein andaz bhi hai
in luTeron se bas allah bachae dil ko
hath us gauhar-e-KHubi ke hai beDa 'sabir'
bahr-e-ulfat mein Dubae ya tirae dil ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.